bayan kya tujh se ho hamdam ki shair kaun hai kya hai wo is duniya mein rah kar aur hi aalam mein rahta hai kabhi takhil ki pahnaiyon mein gum sa phirta hai kabhi kaun-o-makan ki wusaton mein dub jata hai agar tafsil ho darkar jo shair ki fitrat ki hui hai mukhtasar ashaar mein tafsir shair ki tabassum-kesh taskin-dah tamaddun-saz hota hai hayat-afroz zauq-e-did ka dam-saz hota hai jahan-e-hosh ka sarmaya-e-sad-naz hota hai har ek andaz mein sarmastiyon ka raaz hota hai shuur-e-zindagi jis ke tafakkur se sanwarta hai jahan-e-rang-o-bu jis ki nigahon mein nikharta hai ye jalwe ye bahaaren ye gulistan jis ke dam se hai hayat-e-shauq ki taskin ka saman jis ke dam se hai ye har mumkin bahaar-e-bazm-e-imkan jis ke dam se hai lab-e-ejaz se hasti ghazal-khwan jis ke dam se hai ye sab sar-garmi-e-ehsas hai shair ki hasti se surur-o-kaif ki sarmastiyan hain us ki masti se bahr-alam saliqe azm-o-himmat ka sikhata hai bahar-surat jamal-e-azmat-e-hasti dikhata hai surud-e-zindagi par zindagi ke git gata hai jahan dil sard pad jate hain shair muskuraata hai nishan-e-azmat-e-insaniyat ka nam hai shair sarapa lutf-o-azm-o-hosh ka paigham hai shair