shair ki duniya

meri duniya hasin duniya hai
jis mein suraj hai chand tare hain

roz-o-shab husn ke nazare hain
shab ki mahfil saji hai taron se

ji bahalta hai mah-paron se
raat ko tare jagmagate hain

khud-bakhud git yaad aate hain
kirnen leti hain rup pariyon ka

chand raaten hain raqs ke dariya
hain shuaon mein bijliyan raqsan

umad aae hain nur ke tufan
lala-zaron mein phul nikhre hain

aabshaaron mein git bikhre hain
maujen angdai le ke chalti hain

lahren bahte hue machalti hain
har taraf bikhre bikhre gesu hain

aur aankhon mein prem jadu hain
muskurahat mein bijliyan pinhan

dil ki barbaadiyon ke hain saman
har taraf husn hai jawani hai

kaamrani hai shadmani hai
meri duniya hasin duniya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close