tu aa gai sham surmai wahshat o hazimat ke sae sae main dard-ha-dard ek nai nazm bun raha hun darakht aaseb-zadgan dew-paikaran chahchahe karahen ye pat nauhe pe sina-kubi mein gum aza-dar shakhche barchhiyon ke phal ghunche zakhm na-ashna-e-marham ghane darakhton mein zamzama-saz apni apni dhunon ko tartib de rahe hain lahakte patton ki taliyon mein hinai hathon ke thapthapane ka lams hai shakhchon ke pardon se munh nikale hue ye ghunche kisi ko aawaz de rahe hain nigar-e-nikhat ne hajla-e-gul ka parda parda diya hai wo hont aawaz de rahe hain ye buad kya hai? hayat o maut aur shadi o gham ke silsilon mein ye buad kya hai zaruf o ahwal ke fasane mein sab mazahir juda juda hain main apne hone mein saneha hun ki waqia hun? jo ek manzar mujhe rulae wahi parinde ki chonch par khil ke chahchahae phir aa gai sham surmai wahshat o hazimat ke sae sae