chand nikla hai ba-andaz-e-digar aaj ki sham barish-e-nur hai ta-hadd-e-nazar aaj ki sham zindagi nur ki aaghosh mein hai jalwa-numa kitna masrur hai har ek bashar aaj ki sham yun to hoti hai haqiqat mein har ek sham hasin rahmaton barkaton wali hai magar aaj ki sham misl-e-khurshid jabinon pe hain sajdon ke nishan qalb-e-momin hua manind-e-qamar aaj ki sham hain ziya-bar mohabbat ke sabhi naqsh-o-nigar dil ki duniya hai bahaaron ka nagar aaj ki sham surat-e-kahkashan ho gai har rahguzar zarra zarra nazar aata hai guhar aaj ki sham ahl-e-zar hi nahin muflis bhi hain shadan shadan gham-nasibon ko mila gham se mafar aaj ki sham gulshan-e-dil mein mahakte hain masarrat ke gulab le ke aai hai mohabbat ki sahar aaj ki sham nazish-e-rang-e-bahaaran hai har ek nazzara kitna rangin hai andaz-e-nazar aaj ki sham