aaj us dil-ruba ki sal girah hai lekin main us hasin sham ka intizar nahin kar saka kal raat hi jashn manane us ke dar par pahunch gaya mere hathon mein surkh gulab the aur bahaar ki khush-bu aankhon mein pyar tha aur bahut se sawal honton par khushiyon ke git the aur thodi si pyas dil-ruba ke samne ek shama jal rahi thi khushi ke is mauqe par thik barah baje us ne wahi kiya jo sal-girah manane wale karte hain qatil adaon wali ne be-niyazi se phunk mar ke meri mohabbat ki shama gul kar di