wo kitna khush-khisal tha wo kitna khush-jamal tha jilau mein apne jo liye tha lamha-e-visal tha ye kaenat ga rahi thi mast thi kharab thi mahak mein gul lahak mein sabza nashshe mein sharab thi ragon mein us ke dajla tha nigah mein furaat tha wo chehra-e-sifat tha wo wajah-e-mumkinat tha wo ek lamha subh tha to lamha-e-digar ghurub-e-aftab tha shafaq bhara ufuq kabhi tulua-e-mahtab tha wo dopahar tha aadhi raat tha anokhi koi baat tha hazar dilbaron mein taq tha misal-e-be-misal tha wasuq-e-be-wisaq tha wo kaf tha wo nun tha bina-e-koh-e-qaf tha wo shahd tha nabaat tha wo ruh-e-kaenat tha bas ek aan ek aan mein nazar se ta-jigar utar gaya wo barq tha wo rad tha wo tir tha kaman tha yaqin tha guman tha wo shoala barq-e-tur tha wajud se guzar gaya wahi hain jism-o-dast-o-pa wahi azal se ta-abad zaman makan ka silsila magar nahin magar nahin main zinda hun main zinda hun magar na harf-o-saut hain na hiss-o-karb-e-jaan-faza na zauq-e-ahraman-fagan na shauq-e-shan-e-kibriya hai jism aaj bhi magar wo dar nahin wo sar nahin ki soz-o-saz ab koi nahin hai sar-ba-sar nahin