wo nargis bhi hira bhi shama bhi aiwan bhi tha kitabon mein khud tazkira sar-waraq nafs-e-mazmun diba bhi shamsa bhi unwan bhi tha abhi kuchh baras qabl andar ke safhon pe thahra zara der guzri to safhe pe niche ki satron mein utra wo ab hashiye par pada hai khuda jaane kab kaun us ko padhega padhega kabhi kahin dil mein ek khauf sa hai ye suraj jo dhalne laga hai chadhega chadhega kabhi