har ek qatra samundaron mein sama gaya hai wajud apna ganwa chuka hai isi yaqin par ki ab wo qatre se ek samundar ki be-karani mein dhal gaya hai magar yahan hai bahut akela jo ek qatra wajud apna sambhaal kar muskura raha hai ki us ke andar kai samundar sama gae hain
Please share if you liked this!!!