khud ko bahlana tha aakhir khud ko bahlata raha main ba-in soz-e-darun hansta raha gata raha mujh ko ehsas-e-fareb-e-rang-o-bu hota raha main magar phir bhi fareb-e-rang-o-bu khata raha meri duniya-e-wafa mein kya se kya hone laga ek daricha band mujh par ek wa hone laga ek nigar-e-naz ki phirne lagin aankhen 'majaz' ek but-e-kafir ka dil dard-ashna hone laga ain hangam-e-tarab ruh-e-tarab tharra gai dafatan dil ke ufuq par ek ghata si chha gai ek aaghosh-e-tamanna ka taqaza dekh kar ek dil ki sard-mehri bhi mujhe yaad aa gai mujrim-e-sartabi-e-husn-e-jawan ho jaiye gul-fishani ta-kuja shola-fishan ho jaiye khaiega ek nigah-e-lutf ka kab tak fareb koi afsana bana kar bad-guman ho jaiye