( bhopal ke gas hadse se mutassir ho kar ) nai jihaton ki shakhon par shagufe fasilon par jabin rakh di saba ne shikasta dar pe dastak di saba ne saba jo raqs ke manzar dikhae saba jo git ga ga kar sunae saba ke ijz ko jaana hai kis ne saba ki barchhiyan khai hain kis ne magar tu dast-e-imkan se pare thi tera dast-e-hasin tha dast-e-qatil na shab-khun se mafar hum ko na tum ko ram-e-chaara-garan ka zikr kaisa mare lekin na rut aai kafan ki zamana hai zamana chal raha hai