kitna dilkash saman hai hasin wadiyan aise mausam mein kyon aap khamosh hain sharm kis baat ki bolti kyon nahin hum agar dost ban jaen kaisa rahe aap rahti kahan hain pata den mujhe main chalun sath itna bata den mujhe hai t b sanitorium mera ghar ab bataen banenge mere ham-safar sham hone ko hai ab ijazat main phir aaunga in andheron mein warna bhatak jaunga