kya hind ka zindan kanp raha hai gunj rahi hain takbiren uktae hain shayad kuchh qaidi aur tod rahe hain zanjiren diwaron ke niche aa aa kar yun jama hue hain zindani sinon mein talatum bijli ka aankhon mein jhalakti shamshiren bhukon ki nazar mein bijli hai topon ke dahane thande hain taqdir ke lab ko jumbish hai dam tod rahi hain tadbiren aankhon mein gada ki surkhi hai be-nur hai chehra sultan ka takhrib ne parcham khola hai sajde mein padi hain tamiren kya un ko khabar thi zer-o-zabar rakhte the jo ruh-e-millat ko ublenge zamin se mar-e-siyah barsengi falak se shamshiren kya un ko khabar thi sinon se jo khun churaya karte the ek roz isi be-rangi se jhalkengi hazaron taswiren kya un ko khabar thi honton par jo qufl lagaya karte the ek roz isi khamoshi se tapkengi dahakti taqriren sambhlo ki wo zindan gunj utha jhapto ki wo qaidi chhut gae uttho ki wo baithin diwaren daudo ki wo tuti zanjiren
This is a great hindi shayari english. Please share if you liked this!!!