shikwa

ye tere hont ye rukhsar ye khamosh nazar
jaise mandar mein saje baithe hon patthar ke sanam

main to har roz nae dip liye aati hun
tu ne anjaan bane rahne ki khai hai qasam

main hun taswir-e-wafa mujh se gurezan kyon hai
ishq ki lauh pe kya main hun koi harf-e-ghalat

tu ne kitnon ko nawaza hai karam se apne
main to rahti hun yahan surat-e-aghyar faqat

log dete hain tujhe gauhar-e-nayab to kya
main to deti hun tujhe qalb-o-nazar ki saughat

tujh ko malum hai tu khub mujhe jaanta hai
teri hi zat mein gum rahti hai har dam meri zat

main ne jo phul bikhere hain tere qadmon par
kitne taza hain zara ek nazar dekh to le

khun roti hui aankhen ye shikasta daman
yun bhi rangin hain ye sham-o-sahar dekh to le

kitni muddat se khadi hun yahi ummid liye
aaj mumkin hai ki tu meri mohabbat mange

shayad aankhen teri khud meri mohabbat mangen
tere dil mein meri ulfat ki tamanna jage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close