shiraaza

reshmi malbus mein
wo gul-rukhon ke qafile

is rang-o-bu ke shir mein
hum ajnabi dil-sokhta yaadon ke paiham silsile

mehrab-e-dar se jhankta
saqi ki chashm-e-mast ka

ruk ruk ke chalna yaad hai
duniya-e-bud-o-hast ka

is dastan ke bab mein
wo sim-tan shoala-ba-jaan

jin ke rukh-e-tabinda se
ye gulsitan raushan hua

jin ke lahu se harf bhi
mani ka pairahan bana

aae hain hum bhi dhundne
un mah-washon ke naqsh-e-pa

aankhon mein khwab-e-hijr se
shiddat thi shauq-e-wasl mein

lahore se shiraaz tak
chashm-e-zadan mein kat gae

sadiyon barabar fasle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close