main ne mazi ke khandar mein jhanka haal ki dhansti hui ret pe sargardan raha aur ab dhund raha hun ki dhundalkon mein kahan hai farda mere ehsas ke tapte hue sahraon mein ek bhi bund nahin shabnam ki kitne khwabon ke gharaunde tute kitne sapnon ke jazire dube mah-o-sal aate rahe jate rahe thapkiyan de ke sulate rahe jazbon ko mere wadi-e-mauhum mein pahunchate rahe hichkiyan leti rahi hasrat-e-dariya-talabi roz-o-shab aag ki lapton se guzarti hi rahi tishna-labi kohkan phir sar-e-kohsar na uttha koi ju-e-kam-ab bhi afsana-e-mauhum bani wo tamazat ki sadi aai ki har samt ubalne lagi jalti hui ret ruk gain thandi hawa ki sansen pankh bhi udi ghataon ke jale shiw ki jata sukh gai