silsile sawalon ke

hazaron sadiyan guzar chuki hain
kisi samay mein wo thi satwanti

kahin sawitri
kahin thi mera

har ek yug mein
aqidaton ki lahar mein bhigi

tapasya ke sehr mein gum-sum
riwayaton ke nashe mein dubi

tumhaare qadmon ki gard ko wo tilak banati
diye jalati thi naqsh-e-pa par

janam janam ka atut rishta
nibahe jati

hazaron sadiyon safar kiya hai
nazar jamae

tumhaare pichhe
tumhaare dukh par dukhi hui hai

tumhaare sukh par sukhi hui hai
magar batao

hazaron sadiyon ke darmiyan koi aisa lamha
jo tum ne is ke liye jiya ho

siwae aansu ke koi jugnu
kabhi jo aanchal mein jad diya ho

purane bargad pe ek dhaga
kahin to us ke bhi nam ka ho

andheri taqon pe us ki khatir
rakha hua bhi to ek diya ho

nahin hai kuchh bhi
kahin nahin hai

wo apni tarikh mein tumhaara
likhe bhi gar nam

kis tarah se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close