tum mujh par warid hue ek sitamgar ki tarah may ki wo sham thi mujhe aaj bhi yaad hai safed rang ki shirt pahne hath mein akhbar rol kiye tum pindal ki kursi par birajman the pahli nazar mein tum aam se the jaise tum aashiq ho aur main mahbub meri nazar ka lams tumhein khasa khas kar gaya dekho kahani ne palta khaya tum muhib ban gae aur main diwani kahlai mere aate hi tum simat gae tab se aaj tak waise hi meri ruh mein ek konpal ki tarah simte baithe ho main muntazir hun kab ehsas ka nazuk parinda angdai le tum apni banhen phailae isi pindal ki isi kursi par gahri khamoshi se shor karte hue meri taraf badho ki dekhne walon ko pakiza mohabbat raqs karti dikhai de jis mein na numaish ho na hawas bas ek surur ho aur main main zamin ke isi be-bas be-his tukde par aankhen munde tumhein dekhti rahun pachhtawe ka jal aaj tak mujhe lapet mein jakde hai main kisi asir-zadi ki tarah apni qaid ko taqdir ka likha jaan kar khush hun main izhaar-o-iqrar se bari apni khwahish par haya ki chadar dale mohabbat ka tauq gale mein latkae khamoshi ko labon par sajae na-ummidi ko shikast dete hue gungi bahri andhi mohabbat par iktifa kiye hue hun ki asir khwahish-o-farmaish ka haq nahin rakhte