sitara-e-larzan

abhi to yun meri palkon pe jhilmilata hai
bikhar na jae kahin tut kar ye daman mein

yahi khayal mujhe bar bar aata hai
bada sukun badi aafiyat hai palkon ko

hayat in mein simat aai hai zamane ki
khuda rakhe mere in durr-e-ab-daron ko

mizha pe hai meri shabnam bhi aur sharara bhi
ghamon ki bazm ka hai ek hasin guldasta

ufuq ke par chamakta hua sitara bhi
sitam sitam meri palkon pe wo bhi rah na saka

bura ho tera are sail-e-girya-e-betab
ki ek sitara-e-larzan faza mein dub gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close