siyani By Nazm << tajir jhukta aasman >> kabhi kabhi meri gudiya ki hanste hanste bhi aksar aankhen nam ho jati hain kabhi waqt-e-sahar kabhi sham dhale bila-wajh kabhi rote rote wo hans bhi padti hai mujh ko aisa lagta hai ab wo siyani ho gai hai khud par hansna sikh rahi hai Share on: