bahut der ho gai yun jagte jagte aisa lagta hai jaise budha ho gaya hun ya hum wo hain jinhen budha hi jana gaya hath panw bhi jawab de rahen hain thik se dikhai bhi nahin de raha aankhen jaise dhundhiya gain hon shayad aansu hain palkon ki dahliz bhi par nahin kar pa rahen ab to jaane do kuchh der ke liye so jaane do jaane yun ki abhi kahin se wo ek farishta mere taaqub mein aa nikle thodi si nind puri kar lun phir us ke sath bhi jaana hai