ek latafat ek tarannum ek asar hai dekhiye ruh-parwar jaan-faza lutf-e-sahar hai dekhiye qatra-e-shabnam har ek ashk-e-guhar hai dekhiye kaif-agin hai jo manzar jalwa-gar hai dekhiye nisf aalam mein tarab-za daur ek maujud hai be-khudi chaaron taraf chhai hai rangin hai chaman jhumte hain lahlahate hain gul-o-sarw-o-saman aasman par surkhi-e-gulgun ki hai aisi phaban dekh kar be-sakhta hota hai dil behad magan har taraf ek jalwa-e-shadab-e-hast-o-bud hai ab parinde bhi lage par tolne waqt-e-sahar jaanib-e-sahra hua chaupayon ka aakhir guzar aur wo dahqan sada pite jo hain khun-e-jigar kaam mein mashghul apne ho gae hain sar-basar shad hai dil un ka aur behad tarab-alud hai rind-e-baada-nosh hain aur wa dar-e-mai-khana hai koi hai hushiyar in mein to koi diwana hai dana-e-angur hai tasbih ka jo dana hai aur subuhi se bhara yun mehr ka paimana hai parsai shaikh ki is waqt sab mafqud hai wo masajid ki azan dil sab ke tadpane lagi but-kade mein phir mohabbat dil ko garmane lagi husn ki dil mein aqidat josh sikhlane lagi ram aur rahman ki dilkash sada aane lagi ye sada 'ijad' goya naghma-e-daud hai