sukha tanha patta

us bairi ki unchi choti par wo sukha tanha patta
jis ki hasti ka bairi hai patjhad ki rut ka har jhonka
kash meri ye qismat hoti kash main wo ek patta hota
tut ke jhat us tahni se gir padta kitna achchha hota
gir padta us bairi wale ghar ke aangan mein gir padta
yun un pazebon wale panw ke daman mein gir padta
jis ko mere aansu pujen us ghar ke khashak mein mil kar
jis ko mere sajde tarsen us dware ki khak mein mil kar
us aangan ki dhul mein mil kar mitta mitta mit jata main
umr bhar un qadmon ko apne sine par muztar pata main
hae mujh se na dekha jae aaya hawa ka jhonka aaya
daliyan larzin tahniyan kanpin lo wo sukha patta tuta
This is a great mirza galiyan shayari. True lovers of vishwakarma puja shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore mitra shayari. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close