ek tawil umr tum aur main apne apne gharon mein band the jahan zindagi ne kade pahre laga rakkhe the usulon ke rishton ke aur faraez ke is tamam muddat mein jo shayad sattarah baras thi ya sattar ek dusre ki sans ki aawaz ne hamein tapish di aawaz jo bahut halki bahut maddham thi tapish jo dur thartharaati lau se bhi mulaem aur ek din sanson ki tapish aur thartharaati lau ki aag mein zindagi ke sare pahre mom ki tarah pighal gae viran ghar mein gulab ke rang aur motiya ki khushbu ka iztirab bikhar gaya jis ne hamari pur-sukun khamoshi ko reza reza kar diya aao aaj phir hum tum aur main apne pairon ke ird-gird halki halki lakiron ke daere khinche len ye lakiren shayad kabhi diwar ban jaen aur hum phir apne apne gharon mein sukun ki nind so sakin