kiran ko tum kis tarah andheron ki chadaron mein lapet doge kiran to phutegi aur andhere ki chadaren tar-tar hongi lahu bahega to raat dhal jaegi kisi ki jabin se suraj ubal padenge (2) nida ye aai ki kaj-kulahon ke taj chhino ye takht taraj kar ke chhodo in unche mahlon ko khak kar do ye masnaden sab ukhad phenko ye gurz-e-ahan jo tum pe paiham baras raha hai utho badho badh ke gurz-e-ahan ko apne hath mein tham lo ye asa-e-musa banega zulm-o-sitam ke phaniyar sapoliyon ko nigal hi lega udas chehre khushi se yun tamtamae jaise bahaar ke khwab jag utthe chahaar-su ek shor-e-labbaik uth raha tha jo kal talak ek be-bason ka hujum tha aaj jo jarrar lashkar-e-pur-shikoh ban kar badha to sab tajwar sabhi kaj-kulah sab shahryar barg-e-khizan ki manind khak mein mil gae faqat ek galim-poshon ka khun tha jo sadaen deta raha bahaaron ke qafilon ko wo masnaden takht-o-taj unche mahal to qaem rahe nae kaj-kulah aae galim-poshon ka lashkar-e-pur-shikoh phir ek hujum ban kar bikhar gaya khwab tut kar phir khizan ke patton ki tarah mitti mein mil gae phir wo gurz-e-ahan tha takht-o-taj-e-shahi ka zamin (3) asa-e-musa ko kaun rokega zulm-o-ghaarat-gari ke phaniyar sapoliye kab tak dasenge kabhi to hathon se nur phutega aur zulmat-kadon mein suraj ubal padenge