taaqub

kaisi tarik faza kaisa bhayanak manzar
har taraf chhaya hua shahr-e-khamoshan ka sukut

aur ta-hadd-e-nazar raat ke sanpon ke ubharte hue sar
har taraf raqs mein guzre hue lamhat ki nazuk pariyan

azhdaha waqt ka munh khole hue
haal ke zahr se mazi ke pari-khane ko aaghosh-e-fana mein dete

har taraf chashm-e-sharar-bar se takhayyul ki tajsim ko jhulsata hua
apni phunkar se barson ke darakhton ko nigun karta hua

har taraf ek fusun karta hua
jaane kis samt se aaya hai kidhar jaega

aur gum-gashta-e-manzil ki
ek anjaan bhatakti hui ruh

is andhere mein khamoshi mein sarasima-khiram
muztarib dast-ba-dil khak-basar

jaane kis samt chali jati hai
kaun hai

kaun bhatakti hui ruh
kis taraf garm-e-safar nala-kunan shoala-ba-jaan

kis taraf kis ke taaqub mein chali jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close