main ek kora kaghaz jis par har do naslon ne apni kahani likhi ya ek darakht jis ke saya mein baithe logon ne us ke patton ko nocha kabhi na socha saya dene wale ko bhi saya achchha lagta hoga main ek koyal jo aawaz ka jadu bante ya phir baadal jo bina tafriq kiye baras jae ya phir pagal jo kuchh na samjhe jis ke zehn mein ek khazana aur dil khali jis ka badan hai budha aur dil bachcha jis ke pas na dhan na daulat na hi nadamat kyunki main hath hun dene wala main phaila hath nahin hun