hum kitna roe the jab ek din socha tha hum mar jaenge aur hum se har nemat ki lazzat ka ehsas juda ho jaega chhoti chhoti chizen jaise shahd ki makkhi ki bhin bhin chidiyon ki chun chun kawwon ka ek ek tinka chunna nim ki sab se unchi shakh pe ja kar rakh dena aur ghonsla bunna sadken kutne wale engine ki chhuk chhuk bachchon ka dhul udana aadhe nange mazduron ko pyaz se roti khate dekhe jaana ye sab la-yani bekar mashaghil baithe baithe ek dam chhin jaenge hum kitna roe the jab pahli bar ye khatra andar jaga tha is gardish karne wali dharti se rishta tutega hum jamid ho jaenge lekin kab se lab sakit hain dil ki hangama-arai ki barson se aawaz nahin aai aur is marg-e-musalsal par in kam-maya aankhon se ek qatra aansu bhi to nahin tapka