par rang-e-hawas ne phadphadae badhne lage nashshe ke sae ghabra gai zamin dar se kaliyon ke in chhote badan par bhanwre ki nigah pad na jae mausam ne kar diya ishaara baadal ne tan di hai chadar shakhon ne khinch din tanaben patte laga chuke qanaten lo nasb ho gaya hai khema har khar de raha hai pahra ab kuchh khatar zarar na dar hai khwabida husn be-khabar hai rahzan ke raste hain masdud hai jurat be-panah mahdud fitrat ke dast-e-pur-hunar mein masumiyat ho gai hai mahfuz