hamid ne ek nabi ka qissa mujhe sunaya par baat thi kuchh aisi mujh ko yaqin na aaya ammi se main ne puchha abbu se main ne puchha dada huzur ko bhi sab waqia bataya ustad-e-mohtaram se hasil ki rahnumai apne imam sahab ka dar bhi khatkhataya phir ambiya ke qisson wali kitab dekhi lekin kahin bhi aisa qissa koi na paya samjhaya main ne ja kar hamid ko us ke ghar par yun mat sunao sab ko qissa suna sunaya jo waqia sunao tahqiq pahle kar lo yani sahi ghalat ki tasdiq pahle kar lo