tarikh ke padhne walon ko malum hai ye koi bhi sitam kaisa hi kada do-chaar ghadi kuchh ghante hi kuchh roz mahina chand baras chalti hui tahrikon ka amal roke bhi agar to be-mani tahriken qatl nahin hotin tahrik chalane walon ke jismon ka lahu wo indhan hai jo lamha lamha jal jal ke har past-o-shikasta hausle ko ek aag faraham karta hai tahriken zinda rakhta hai tahriken qatl nahin hotin