tum ek hi libas nahin pahan sakte aur wo hai safar 27-sal se is arsa-e-be-zamini par main safar hi to pahanta aaya hun ek bar ek qasbe mein ek nannhi si bachchi ne mujh se meri udasi puchhi thi meri udasi mere andar thi aur bachchi ka matlab bahar tha bahar ki quwwat ne meri chhipi hui rotiyan chhin lin tum ne kahin se sun liya ki jo mitti gosht se chipak jati hai us se ek atal makan banta hai so tum atal makan mein atal ban gae tum ne mujh se meri shahriyat chhin li kyunki main un logon mein se nahin tha jinhon ne mahz auraton ke nam sunghne mein kai baras guzar diye phir shayad unhen koi chor-darwaza mil gaya kuchh log jo jail se chhut ke aae the unhon ne apne gharon ki salakhon ko nile rang se rang diya kyunki nile rang ki nind aaram aur wahm ke darmiyan shayad ek tank hoti hai main ne kabhi tonic nahin piya mere pas to kuchh jama hui rotiyan thin unhin mein kahin khane baitha tha ki shahron ke chaurahon ki samt jati hui dhup bahut tez hogi ek mulk ka dhuan dusre mulk ki faslon mein sarayat kar gaya tum nahin jaante ki ye sab kuchh kyun hua tum apne makan mein atal rahe main aage chal diya mujhe chor-darwaza nahin mila