hui muddat ki tujh se baat karne ko tarasta hun main hun ashkon ka baadal teri furqat mein barasta hun tere dil ki ghalat-fahmi mere aansu na dho pae bane hain aaj jo wirsa hain teri yaad ke sae mujhe itna bata de jaan-e-man mujh se khafa kyon hai bhula kar qaul apne aaj tu mujh se juda kyon hai jo tu mujh se chhupati hai na jaane raaz kaisa hai nazar phulon pe rakh kar pyar kanton se ye kaisa hai zaban par zikr mera hai karam us par dikhati ho ye khat kis ka hai chupke se jo aanchal mein chhupati ho teri ye be-rukhi hamdam mujhe betab karti hai mujhe bechain aksar surat-e-simab karti hai kisi manzil pe kya ab raste phir mil nahin sakte mohabbat ke fasurda phul kya phir khil nahin sakte mujhe diwana kar degi tamanna tujh se milne ki ijazat de mohabbat ki kali ko phir se khilne ki mujhe phir se koi khat phir koi paigham likh bhejo nahin kuchh aur to kaghaz pe apna nam likh bhejo