zarron mein jumbish thi koi chhai thi faza par mad-hoshi ek nind thi har shai par tari qudrat bhi thi mahw-e-khamoshi raushan na sitare the upar viran falak ki basti thi lala na zamin par khilta tha be-rang nigar-e-hasti thi aahen na labon par aati thin muztar na tanon mein jaanen thin dil mein na umangen uthti thin jazbaat ki band zabanen thin tha husn takhayyul mein ab tak khilat na mila tha surat ka betab nigahen thin sari wa dar na hua tha jannat ka 2 jab roz-e-azal ki subh hui ek nur ka dariya lahraya fitrat ke uthe parde sare bedar jahan-e-raaz hua sahil ka sukun dhaare ki tadap be-tabiyan mauj-e-tufan ki amrit-bhari shabnam ke qatre ranginiyan bagh-e-rizwan ki phulon ki mahak kundan ki damak bijli ke shararon ki chamken sham aur sahar ke hasin jalwe taron ke tabassum ki jhalken khallaq-e-zaman ne un sab ka sat khinch ke mitti par chhidka tabqat-e-zamin mein hui halchal ek phul kanwal ka phabak utha phir batn se un ke ek dewi paida hui bazm-e-imkan mein rakkha gaya nam aurat us ka khushiyan huin bagh-e-rizwan mein