pas sahifon mein paighambaron ne likha khudawand ne kaenat-e-kabira ki takhliq ke satwen roz aaram farmaya tha sirf chhe roz mein kaenat-e-kabira ki takhliq ka ye amal phir khuda so gaya aur sota raha aur ab jab se takhliq ka bar uthaya hai main ne pata ye chala ki mujh mein wahi kaenat-e-kabira haule haule jawan ho rahi hai dhire dhire numu pa rahi hai qatra qatra mujhe pi rahi hai khudawand ki kaenat-e-kabira mere batn mein ji rahi hai jis ki takmil ke waste mujh ko nau roz darkar hain aur phir us ke aage ka sara safar be-karan dard takhliq ka silsila aur be-khwab aankhon mein masum makhluq ke bud-o-nabud ka zaicha waqt ke wasl aur hijr ka zaiqa mere hisse mein hai mere hisse ka tha