auron ka hai payam aur mera payam aur hai ishq ke dard-mand ka tarz-e-kalam aur hai tair-e-zer-e-dam ke nale to san chuke ho tum ye bhi suno ki nala-e-tair-e-baam aur hai aati thi koh se sada raaz-e-hayat hai sakun kahta tha mor na-tawan lutf-e-khiram aur hai jazb-e-haram se hai farogh anjuman hijaz ka us ka maqam aur hai us ka nizam aur hai maut hai aish-e-jawedan zauq-e-talab agar na ho gardish-e-admi hai aur gardish-e-jam aur hai sham-e-sahar ye kah gai soz hai zindagi ka saz gham-kada-e-numud mein shart-e-dawam aur hai baada hai nim-ras abhi shauq hai na-rasa abhi rahne do khum ke sar pe tum khisht-e-kalisiya abhi