masjid mein aur mandir mein girja-ghar ki khamoshi se hamd-o-sana ke giton tak gurudware ki baithak mein dholak ki har thap se le kar lat sahab ke pat talak maulwiyon ke waz se le kar pandit ke bhajan ke andar sahraon mein dariyaon mein is kone se us kone tak kaenat ke har goshe mein farsh se le kar arsh ke manzar-name tak diwar-e-girya se le kar chashm-e-talab ke par talak aur khala se bhi us par jis ke liye main sargardan thi jis ko dhunda gali gali chaman chaman aur kali kali wo to meri shah-e-rag mein tha mera khuda bas mera khuda