kho gaya hai tu kin nazaron mein main ne dhunda tujhe bahaaron mein sard barsat ki phuwaron mein bagh ki dil-nashin qataron mein sarw shamshad aur chanaron mein gulsitanon mein lala-zaron mein wadiyon aur murgh-zaron mein mah-jabinon mein mah-paron mein dur pur-pech kohsaron mein garm sahra ke regzaron mein ghair manus gahre ghaaron mein har taraf pur-khatar nazaron mein aur ab kar raha hun tujh ko talash aasman ke hasin taron mein