waqt aur na-waqt ke ma-bain kitna fasla kitna khala kitni ghaneri khamushi hai jaanne ki koshishon mein aankh ki aur dil ki ujli aankh ki binaiyan kam pad gai hain sochta hun soch ka koi parinda bhej kar is hadd-e-la-had ka koi andaza kar lun khud se kahta hun tujhe malum hai ye kaam sochon ke parindon ka nahin takhil ka hai jo parinda ghaib ki is jhil ka hai jis mein sab na-didgan ke aks bante raqs karte hain inhi na-didgan mein waqt aur na-waqt ke ma-bain ka wo fasla aur wo khala aur wo ghaneri khamushi bhi ho to kya malum bahte aks un ke tair-e-takhil ke shahpar se lipte sath aa jaen ye gahre bhed mere hath aa jaen