dari ke niche se nikle gard-o-ghubar mein mere qadmon ka nishan pada mila hai nishan jo main ne pichhli kisi sadi mein waqt ki dari ke niche daba diya tha daba diya tha ya tum ne kisi nai baryabi ke liye bo diya tha magar dari ke niche se daryaft hone wala nishan waqt pahan kar safar ki pazeb bajate bajate sukhe chamde sa akad gaya hai mujhe apne pairon pe wo nishan kisi budhi aatma ki tarah khauf-zada kar raha hai