mujhe kya diya hai zindagi ne kis ko batlaun meri aankhon mein kuchh aansu mere honton pe kuchh aahen meri kanpattiyon par tajrabon ki kuchh safedi hai meri ainak ke ‘adse meri binai pe hanste hain magar is 'umr mein bhi meri nadani nahin jati bahane qurbaton ke mujh ko jab bhi yaad aate hain to apne aap ko ilzam un ki lag ka de kar main har wabastagi ko khud-farebi kah ke hansta hun ye meri sadgi dekho ki ummid ab bhi hai lekin koi 'ahd-e-wafa ki jurat-e-izhaar kya mange tamanna sar-ba-zanu apne wa'don par pasheman hai