apne sine mein dabae hue lakhon shoale shabnam o barf ke naghmat sunae main ne zist ke nauha-e-paiham se chura kar aankhen git jo ga na sake koi wo gae main ne aaj tashbih-o-kinayat ka dil tut gaya aaj main jo bhi kahunga wo haqiqat hogi aanch lahraegi har bund se paimane ki mere sae ko meri shakl se wahshat hogi gham-e-dauran ne gham-e-dil ka sukun chhin liya ab tere pyar mein bhi pyar ke andaz nahin shauq ke qila-e-tarik mein hai sannata koi aawaz nahin koi bhi aawaz nahin kaise samjhaun ki ulfat hi nahin hasil-e-umr hasil-e-umr is ulfat ka mudawa bhi to hai zindagi hasrat-e-khas-khana-o-barfab sahi kuchh dahakte hue shoalon ki tamanna bhi to hai tu mera khwab hai aadarsh hai lekin mujh ko tere is qasr-e-tarab-nak se jaana hoga aag aur khun ugalte hue sayyare ko phir tera qasr-e-tarab-nak banana hoga