tanhai

apni tanhai mujhe achchhi lagi
main ne chaha hai use

aur paya bhi use
apne roz-o-shab mein aksar hai basaya bhi use

usi ne di hain mujh ko aisi khalwaten
jin mein rah kar

main kabhi tanha nahin
sath mere anginat aise ehsasat hain

jin se hasil hai
meri tanhaiyon ko ek sukun

ek rifaqat
gham-gusari

rahnumai
rahbari

pa ke main ehsas ke is qurb ko
rah ke tanha bhi nahin tanha rahi

meri tanhai meri hamdam meri dam-saz hai
us ke khal-o-khat se main achchhi tarah waqif nahin

nam bhi makhsus us ko
koi de sakti nahin

phir bhi us se main bahut manus hun
sainkadon sinon ki dhadkan

sainkadon aawaz ko
sun rahi hun is tarah

jaise ek naghma koi
ya ho bahte pani ka ek shor sa

jis ke shor-o-ghul mein ab
kho gai jaane kahan

mujh ko tanhai meri achchhi lagi
pyari lagi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close