chin-o-arab hamara hindostan hamara muslim hain hum watan hai sara jahan hamara tauhid ki amanat sinon mein hai hamare aasan nahin mitana nam-o-nishan hamara duniya ke but-kadon mein pahla wo ghar khuda ka hum is ke pasban hain wo pasban hamara teghon ke sae mein hum pal kar jawan hue hain khanjar hilal ka hai qaumi nishan hamara maghrib ki wadiyon mein gunji azan hamari thamta na tha kisi se sail-e-rawan hamara baatil se dabne wale ai aasman nahin hum sau bar kar chuka hai tu imtihan hamara ai gulistan-e-undulus wo din hain yaad tujh ko tha teri daliyon mein jab aashiyan hamara ai mauj-e-dajla tu bhi pahchanti hai hum ko ab tak hai tera dariya afsana-khwan hamara ai arz-e-pak teri hurmat pe kat mare hum hai khun teri ragon mein ab tak rawan hamara salar-e-karwan hai mir-e-hijaz apna is nam se hai baqi aaram-e-jaan hamara 'iqbaal' ka tarana bang-e-dara hai goya hota hai jada-paima phir karwan hamara