chilmanon ke us taraf jagmagati zindagi samne aa kar naqab-e-rukh ko sarkati hui mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le dubte tare numud-e-subh se sahme hue malgaji dhundlahaton mein jhilmila kar kho gae jagti aankhon mein ek guzri hui duniya liye is taraf main hun mere mazi ki badhti dhund hai dhundle dhundle naqsh la-hasil tamannaon ki rakh raushni ke daere se dur yaadon ka khumar ek taraf jalti fasilon se dhuan uthta hua ek taraf aasudgi-e-arzu ke narm khwab kham-ba-kham rahen safar ki gard mein khoi hui jalti aankhon mein sunahre khwab-zaron ke sarab roz-o-shab ke jalte-bujhte daeron ko tod kar aarzu ki wusaten sahra-ba-sahra be-kanar na-tarashida chatanen rasta roke hue ek sada-e-ba-gasht apni nawaon ka jawab ashk-ha-e-subh-gahi se sahar khilti hui raat ki tarikiyan dil ke lahu se lala-zar ek soz-e-arzu anfas mein rachta hua ek mubham dard dil ki khalwaton mein be-qarar bas yahi subhen yahi shamen yahi be-nam dard umr bhar ki jidd-o-johd-e-shauq ka hasil rahe tira-bakht aankhon mein aise khwab ke paikar base jin se munh modun to har aasaish-e-duniya mile chilmanon ke is taraf se jagmagati zindagi samne aa kar naqab-e-rukh ko sarkati hui mujh se hans kar kah rahi hai mera daman tham le