(undulus ke maidan-e-jang mein) ye ghazi ye tere pur-asrar bande jinhen tu ne bakhsha hai zauq-e-khudai do-nim un ki thokar se sahra o dariya simat kar pahad un ki haibat se rai do-alam se karti hai begana dil ko ajab chiz hai lazzat-e-ashnai shahadat hai matlub-o-maqsud-e-momin na mal-e-ghanimat na kishwar-kushai khayaban mein hai muntazir lala kab se qaba chahiye us ko khun-e-arab se kiya tu ne sahra-nashinon ko yakta khabar mein nazar mein azan-e-sahar mein talab jis ki sadiyon se thi zindagi ko wo soz us ne paya unhin ke jigar mein kushad-e-dar-e-dil samajhte hain us ko halakat nahin maut un ki nazar mein dil-e-mard-e-momin mein phir zinda kar de wo bijli ki thi nara-e-la-tazar mein azaem ko sinon mein bedar kar de nigah-e-musalman ko talwar kar de