tauq-e-nakaami

ishq mein thahre hain hum na-kaamyab
dal kar gardan mein nakaami ka tauq

tu bahut ghamgin hai
tu mata-e-zist ko samjha hai ashkon ki bahaar

kis qadar mushkil hai manzil
dosti ke raston ki

kis qadar aafat hain
ek taraf bechaargi hai nafs ki

ek taraf mubham se jazbon ki pukar
ek taraf teri mohabbat ka hisar

kash tu itna to samjhe
is jahan-e-zist ki manzil hai tu

tujh se hain ye raat-din ke silsile
kash tu itna to jaane

tujh se main paiwast hun ruh-e-azal se
jism aur ruh ki tanaben khema-zan hain

tere sahil ke suhane dosh par
aur tu khamosh sagar ki tarah hai be-kanar

hum hue nakaam ya hain kaamyab
faisla chhoden usi par

hum hue jis par nisar
kash tu itna to mane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close