yazid naqsha-e-jaur-o-jafa banata hai husain us mein khat--ekarbala banata hai yazid mausam-e-isyan ka la-ilaj maraz husain khak se khak-e-shifa banata hai yazid kakh-e-kasafat ki dolti buniyaad husain husn ki hairat-sara banata hai yazid tez hawaon se jod tod mein gum husain sar pe pahan ke rida banata hai yazid likhta hai tarikiyon ko khat din bhar husain sham se pahle diya banata hai yazid aaj bhi bante hain log koshish se husain khud nahin banta khuda banata hai
This is a great shifa ki shayari. Please share if you liked this!!!