ab zindagi ka lutf kahan hai tere baghair be-kaif rang-e-kaun-o-makan hai tere baghair tujh se har ek khayal hasin-o-jamil tha ab aarzu bhi bar-e-garan hai tere baghair har manzil-e-hayat munawwar thi tere sath tarik har makan-o-zaman hai tere baghair tufan umad rahe hain dil-e-be-qarar mein aankhon se sail-e-ashk rawan hai tere baghair wo mera ghar jo ghairat-e-firdaus tha kabhi dozakh ab us mein sho'la-fishan hai tere baghair rangini-e-bahaar thi jis dil mein jalwa-rez ab us mein daur-e-fasl-e-khizan hai tere baghair baqi rahi na saghar-o-mina mein dilkashi be-kaif bazm-e-pir-e-mughan hai tere baghair dil ban chuka hai maskan-e-soz-e-gham-e-firaq sina jawab-e-barq-e-tapan hai tere baghair 'shaida' phir apna haal kahe bhi to kya kahe khamosh lab hain band zaban hai tere baghair