tere eajaz se qaem meri duniya ki raunaq hai teri dil-bastagi se shorishen hain bazm-e-hasti mein tere dam se jahan mein sarfaraazi mujh ko hasil hai main tere git gata hun jahan-e-kaif-o-masti mein junun-angez mausam ki qayamat-khez raaton mein tabassum-za-sitaron ki qataren jab bikharti hain rida-e-nil-gun par chandni jab khet karti hai tere aanchal ki lahron par hawaen raqs karti hain faza mein aasmani nur ki ek lut machti hai kanar-e-abju se jab khiraman tu guzarti hai kabhi jab tu mujhe mauhum lafzon mein bulati hai kabhi jab tu meri aankhon mein aankhen dal deti hai jab apni dhadkanen tu mere dil mein dhaal deti hai bahane se meri gardan mein banhen dal deti hai bahaaren wajd mein aati hain fitrat raqs karti hai bahaaron mein mere pahlu se jab tu dur hoti hai mujhe aansu rulati hai ziya maddham sitaron ki tafakkur chhin leta hai umangen naujawani ki rulati hai dil-e-muztar ko virani bahaaron ki tera husn-e-junun-parwar teri ulfat tere naghme hamari zindagi mein kya hamesha zarfishan honge ye lamhe gardish-e-ayyam mein kho jaenge ek din ye lamhe qimti lamhe ye kaise jawedan honge