teri aawaz ke dhoke

fazaon mein khanakte hain teri aawaz ke dhoke
kabhi jab ganw ki afsurda rahon se guzarte hain

bulate hain hamein baghon mein purwa ke khunuk jhonke
chhupa hoga to un kunjon mein ye khadshe ubharte hain

thirakte nachte bachche chahakte manchale panchhi
simatti rewaden maidan mein aawaz gwalon ki

larazte git ki lai mein udasi gholti bansi
darakhton ki qataren unghti basti ye pagdandi

jahan tak dekhta jaun chhalawe hi chhalawe hain
ufuq tak sari wadi mein ishaare hi ishaare hain

chale aao tumhein ehsas ke manzar bulate hain
meri aankhon mein ummidon ke jugnu jhilmilate hain

charaghon ko jala deta hai badh kar dubta suraj
zamin par chhodta jata hai apne naqsh-e-pa suraj

tumhaari kali zulfon se nichud kar raat aai hai
pighal kar jazb ho jata hai dil mein khaulta suraj

thaka haara hua rahi sa wapas laut aata hun
lute sunsan kamre mein pade viran bistar par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close